0
History of Lebanon in urdu: Yahan ka darul hukumat Beirut hai. Is ki currency pound aur zuban Arabic hai ye hai Islamic Country hai jahan ka sharah khawandgee 75% hai. Bar-e-azam Asia ke maghrib mein waqaya hai is ke shumal aur mashriq mein Sham janoob mein Israil aur maghrib mein behra rome hai.

Lebanon mein petrol, gas ke bey intiha zakhair hain. Gold aur qeemti pathar (precious stones) bhi yahan par paye jatay hain. Yahan ka sub se bara shehar Berot hi hai. Lebanon mein wheat, potato, zaitoon oil aur pyaz ki kasht yani cultivation ki jati hai. Electricity, cement, emaratri lakri ki sanatain kafi taraqi kar chuki hain.
 
Photo by: lucianaluciana
Beirut ko kisi waqt Asia ka Paris kaha jata tha. Apni khubsurati ki wajah se dunya ke tamam tourists ki pasandeeda tareen place thi. Mulk mein khana jangi ke baad ab phir Beirut usi chamak damak mein wapas araha hai magar abhi isay bohat saal lag jayain gey.
Geography: Yahan ka zameeni raqba 10452 square km hai. Ye Sham aur Israel ka hamsaya mulk hai.

Woh Log Jo Bina Passport Ke Lebanon Mein Asaktay Hain:
Sham ke citizens baghair passport ke Lebanon mein asaktay hain. Magar un ke paas shanakhti card hona lazmi hai aur woh seedhay Sham se Lebanon mein dakhil hon. Travel document holder afrad dunya ke har mulk ke siwa Israil ke asaktay hain magar director of immigration se ijazat lainay ke baad.

Post a Comment

 
Top