Jamhooriya Turkey 2 bar-e-azamon ke darmiyan pheela hua Musalman mulk hai. Aik taraf is ke darwaze bar-e-azam Asia mein khulte hain. Ye mulk maghribi Asia mein aur eastern Europe mein bhi phela hua hai. Turkey ki sarhad dunya ke 8 mulkon se milti hai jis se is ki ahmiyat ka andaza hota hai. Geography lihaz se Turkey ko aik aham mulk ki haisiyat hasil hai. Sanati taraqi aur apne qudarti manazir ki wajah se jamhooria Turkey ka shumar dunya ke khoobsurat tareen mumalik aur taraqi yafta mulkon mein hota hai.
Turkey - Photo by: bazylek100 |
Turkey mein rehne wali qaum zayada tar Tartarak nasal hai is ke baad kurd abadi ka number ata hai. Turkey qaum ki aksariyat ka mazhab Islam hai aur is ki sarkari zuban Turkey hai. Khilafat Usmania ke baad jamhooria Turkey ki bunyad rakhi gyi jis ke bani Mustafa Kamal hain, is ka tamam siyasi dhancha unhi ki qayadat mein tashkeel diya gya.
Post a Comment