Hiran Minar History In Urdu Information Hiran minar aik khubsurat muqam hai jahan tarikh se mulaqat ki ja sakti hai.
Badshah barray badshah hotay hain un ki reaaya ko rotti miley na milay ye marnay walon ke maqbaray baray shoq aur pyar se banatay hain chahay marnay wala ensaan ho ya janwar jese is minar ko aik hiran ke liye badshah ne banwaya.
Ye minaar aik chbotre par bana hua hai is minaar ki bulandi taqreeban 100 foot hai jabkay is ke samnay aik jheel banai gayi hai jis ke bilkul darmain mein aik barah dari bhi tameer ki gayi hai is ke charon taraf hathion ke pani peenay ki jagah, insanon ke nahanay ki jagah aur muhafizon ke theharnay ki jagah banai gayi hai.
Main is minar ke samnay bani hui jheel ke kinare baith kar is jheel ko kayi lamhoon daikhta raha, yun laga jaisay badshah Jahangir shikaar ki gharz se aaya howa hai is ke sath hazaron afraad ka lashkar hai, hathi aur ghoray jheel se pani pi rahay hain, senkron kaneezain bara dari ke rastay mein khari badshah aur us ke sathiyon par phool barsa rahi hain.
Punjab ke hukmaran ne badshah ki hifazat aur aram o sakoon ke liye khusoosi intizam kar rakhe hain. Badshah apne mehboob hiran ki qabar par khara hai jungle ke janwar aur parinday chhup gaye hain un ke liye to yeh jalal qehar se kam nahi kal jab badshah shikaar par niklay ga tou kitney be bas parindon aur janwaron ki jaan chali jaye gi.
Lekin jo bhi hai yeh minaar mughlon ki azmat ki nishani hai sayahat ki amdan ka zareya aur hum jeson ki tafreeh gaah hai jo apne bachon ko yahan laa kar apne maazi se aagahi faraham karte hain. Lekin yahan aakar bachay apne barron se sawal zaroor karte hain. yeh jagah itni gandi kyun hai? is ke kuch hissay band kyun hain is ki murammat kyun nahi hoti is imarat aur is ke darakhton par logon ne apne naam likh kar kya saabit karne ki koshish ki hai aur is imarat se haasil honay wali aamdani kahan jati hai? koi poochnay wala hai ya nahi.
Post a Comment