0
Riyasat Kalat 14 october 1955 ko Pakistan mein zam hoi. 92000 muraba km raqbay par pheeli hoi ye riyasat 350 saal tak rahi jis ko 1695 mein Mewani Barohi qabilay ne Mughal governor Mir Mendo ko shikast de kar qaim kiya tha. Isay 1788 mein Ahmed Shah Abdali ne takht-o-taraj kiya aur 1839 mein angreezon ne is par qabza kiya lekin Kalat ke hukmaranon ko dakhli khud mukhtari de di thi.
31 March 1948 ko Qaid-e-Azam ki khawahish par Riyasat Kilat ne Pakistan mein shamil hone ka ilan kiya lekin 14 october 1955 ko jub one unit ke qayam par sooba marghribi Pakistan tashkeel diya gya tou deegar riyasaton aur soobon ki tarah is riyasat ka alehda wajood bhi khatam kar diya gya tha. July 1970 ko 1 unit ki tanseekh aur sooba Baluchistan ke qayam par is riyasat ko Kalat division mein shamil kar diya gya tha.

Post a Comment

 
Top