0
History of London in urdu: Ye tareekhi shehar jo daulat mushtarka ka darul hakumat aur saltanat Bartania ka sub se bara shehar hai. Ye shehar samandar se 50 mile door Thames River London waqaya hai. Is ka intizami raqba 1579 muraba km jabkeh abadi taqreeban 75 lack nafoos par mushtamil hai. Ye aik tijarati, malyati aur saqafati shehar hai. New York ke baad ye dusri bari bandargah hai.
London shehar ka sang-e-bunyad 43 eswein Roman government mein rakha gya. London ka purana naam Londinium tha. 61 mein yahan aik hifazati deewar tameer ki gyi thi. Yahan ka famous Cathedral St Paul's 604 mein tameer karaya gya. 1067 mein isay charter ata hua. Jabkeh 1191 mein Mayor ke shehar ka darja diya gya. 1645 mein taoon disease se taqreeban 75000 afrad moot ke munh mein chale gye. 1666 mein azeem atishzadgi ke nateejay mein shehar ka beshtar hisa tabah ho gya. Chunachay usay phir se tameer kiya gya. 1812 mein London ko gas ke qumqamon se roshan kar diya gya. 1829 mein yahan Omni Buses ka ajra hua. 1890 mein dunya ki pehli zameen dooz railway, pehli martaba olympic sports aur baad mein 1948 mein aur phir 2012 mein khaili gayien. Yahan ki Flat street aur Downing Street bohat mashoor hain.

Post a Comment

 
Top