0
Shahi Qila Pakistan ke mashoor shehar Lahore mein hai. Ye 120 acre par pheela hua qila hai. Ye Qila badshah akbar ne apne door-e-hakumat mein tameer karwaya. Ye dunya ka aik heran kar dene wala qila hai. 1556 se 1605 tak is ki tameer ki gayi. Waqt ke sath sath is mein tabdeeliyan bhi ki gayien. 1971 tak sheesh mahal aur moti masjid ne qilay ko 4 chand laga diye. Is mein 13 darwaze hain. Is qilay ki sair karne tamam dunya se log atay hain.
Shahi Qila Lahore Pakistan
Pakistan ke aisay asasay jo tarikh ke manazar ko apne andar mehfooz rakhe hue hai, aisi emaraton ka khayal rakhna behad zaroori hai. Ye hamara qaumi fareeza hai. Is qila mein sair karne wale log is mein itne kho jatay hain ke un ko pata bhi nahin chalta ke un ko aye hue kitna waqt guzar gya hai. Sheesh Mahal ka khubsurat manzar insan ko hairat mein daal deta hai aur insan is ki tareef kiye bina nahin reh sakta. Aisi amaraton ka khubsurat designs jo munfarid hai dunya mein apni masal aap ban jatay hain.

Post a Comment

 
Top